Satguru Tumhare Pyaar Ne

Satguru Tumhare Pyaar ne Jeena Sikha diya
Humko Tumhare Pyaar ne Insaan Bana diya

Rehte hain Jalwe aapke Nazron mein Har Ghadi
Masti ka jaam aapne Aisa Pila diya...
Satguru Tumhare Pyaar ne Jeena Sikha diya
Humko Tumhare Pyaar ne Insaan Bana diya

Bhula hua tha raasta Bhatka hua tha mein
Kismat ne mujhko aapke Kaabil bana diya.
Satguru Tumhare Pyaar ne Jeena Sikha diya
Humko Tumhare Pyaar ne Insaan Bana diya

Jis din mujhko aapne Apna bana liya
Dono Jahan ko Daasne Tab se bhula diya
Satguru Tumhare Pyaar ne Jeena Sikha diya
Humko Tumhare Pyaar ne Insaan Bana diya

Jisne kisi ko aaj tak Sajda nahi kiya
Woh sar bhi maine aapke Dar par jhuka diya.
Satguru Tumhare Pyaar ne Jeena Sikha diya
Humko Tumhare Pyaar ne Insaan Bana diya