Ram Ke Naam Bharose

Ram ke naam bharose chalna, jeevan ke har path par
Ram naam ko bana sarthi, kaya ke is rath par
Mere ram....mere ram....mere ram ram ram......(2)

Ram naam se mit jaye man ke duvidha aur kalesh
Har prani mein ansh ram ka, swami ye akhilesh
Ram ki mala bhajne wala, chalta nahin kupath par
Ram naam ko bana sarthi
Mere ram.........mere ram..........mere ram ram ram

Ram naam ki amrit vani, bolo aathon yaam
Bhaw ghamand ka tyag karo aur karo surjan ko pranam
Bahut saral vishwas dagar hai, chhod prabhu samrath par
Ram naam ko bana sarthi
Mere ram.....mere ram..... mere ram ram ram.........

Rishton ka mela bana jhamela, ram ki sudh ko vichar
Ram naam hai yaan moksh ka, 'Bamnawat' ho sawar
Chit mein ram basa kar apne, chalna sada supath par
Ram naam ko bana sarthi
Mere ram ...mere ram.....mere ram ram ram...........