Mushkile Aayengi Aane Do

Mushkile aayengi aane do
Saagar me toofaan uthne do
Hame rukna nahi hame jhukna nahi
Kaam prabhu ka hame karna hai

Pahaad parbat durgam ho
Path par kankar kaante ho
Hame hatna nahi hame mitna nahi
Vedo ke shikhar par chadhna hai

Andhera chaayaa hai chaane do
Kali ghataa ghir aane do
Hame rona nahi hame sona nahi
Gita ka gyaan hame dena hai

Meera ka vishpaan gyaat hai
Vish pachaana badi baat hai
Meera royi nahi Shyam bhooli nahi
Shyam dhundhte Shyam khud hona hai