He Mahavir Tera

He mahavir tera bhajan karein
Tera yagan karein tera bhajan karein
He vesh digambar dhari prabhu
Tere charno ko nit nit naman karein
Yagan karein tera japan karein
Tere charno ko nit nit naman karein

Chhavi tumhari sunder pyari, har prani ko bhati hai
He karuna ke sagar swami, sabke man ko lubhati hai
Teri jai jaikar karein, doshon ka apne daman karein
Yagan karein tera japan karein tere........................

Raagi nahin tum dueshi nahin tum bhakton ke hitkari ho
He jinver he mahavir prabhunath balbrahmchari ho
Aisi kirpa kar do bhagwan jeevan apna suman karein
Yagan karein tera japan karein tere .........................