Ek Din Aisa Aayega
Tod chalega Jag se naata Sada Sada So Jayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Dhan Daulat Riste Naate Sab Pal Me Chhut Jayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Jinko Tu Apna Kahta Hai Ye Na Tere Apne
Tu Rahi Hai Jeevan Path Ka Ye Sab Sare Sapne Hai
Tootega Jab Sapna Tera Sab Apna Kho Jayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Jab Se Jag Ko Apna Samjha Jab Se Rab Ko Bhoolgaya
Janmo Se Tu Aaata Raha Har Bar Garbh Me Jhoolgaya
Ab Bhi Waqt Hai Sunle Bande Baad Me Tu Pachhtayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Bachpan Tera Beet Gaya Aur Jati Teri Javani Hai
Ye Jeewan Kal Kal Bahta Ek Nadiya Ka Pani Hai
Haath Guru Ka Thamle Varna Beech Bhawar Me Dubjayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Rah Jayega Lakh chauraasi Jisne Guru Ko Paya Hai
Bade Bhagi Hai Guru Sang Jisne Jeeawan Safal Banaya Hai
Guru Charno Se Preeti Karli Ant Guru Me Samayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Tod chalega Jag se naata Sada Sada So Jayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega
Dhan Daulat Riste Naate Sab Pal Me Chhut Jayega
Ek Din Aisa Aayega
Ek Din Aisa Aayega