Aye Maalik Tere Bande Hum
aye maalik tere bande hum
aysein hon hamaare karam
naykee par chalein aur badhee se talein
taaki hastein huye nikale dum
aye maalik tere bande hum
badaa kamzor hai aadmi
abhi laakhon hain isme kameen
par tu joh khadaa hai dayalu badaa
teri kirpaa se dharti thamee
diya toone hamein jab janam
tuhee jhelega hum sab ke gum
naykee par chalein aur badhee se talein
taaki hastein huye nikale dum
aye maalik tere bande hum
ye andhera ghanaa cha raha
tera insaan ghabara raha
ho raha bekhabar kuch na aata nazar
sukh ka sooraj chupaa ja raha
hai teri raushani mein joh dum
tu amaavas ko kar de poonam
naykee par chalein aur badhee se talein
taaki hastein huye nikale dum
aye maalik tere bande hum
jab zulmon ka ho saamanaa
tab tuhee hamein thamanaa
woh burayee karein hum bhalayee bharein
nahi badle ki ho kamanaa
badh uthe pyaar ka har kadam
aur mitein baeyr ka ye bharam
naykee par chalein aur badhee se talein
taaki hastein huye nikale dum
aye maalik tere bande hum