Aba Saumpa Diya

Aba saumpa diya is jeevanka,
sab bhar tumhaare haatho me (2)

Hai jeet tumhaare haatho me,
aur haar tumhaare haatho me (2)

Mera nishchaya bas ek yahi,
ik baar tume paa jaun me (2)

Arpan kardun duniya bhar ka,
sab pyaar tumhaare haatho me (2)

Jo jag mein rahun to aise rahun,
jyon jal mein kamal ka phool rahe (2)

Mere sab gundosh samarpit ho,
kartaar tumhaare haatho me,
bhagvaan tumhaare haatho me

Yadi manav ka muje janma mile,
to tav charno ka pujari banu (2)

Is pujak ki ik ik rag ka,
ho taar tumhaare haatho me (2)

Jab jab sansaar ka kaidi banu,
nishkaam bhaav se karma karun (2)

Fir ant samaymen praan tajun,
nirakaar tumhaare haatho me,
sakaar tumhaare haatho me

Mujamen tujamen bus bhed yahi,
mein nar hun tum naaraayan ho (2)

Mein hun sansaar ke haathomen,
sansaar tumhaare haatho me (2)

Aba saumpa diya is jivanka,
sab bhar tumhaare haatho me (2)

Hai jeet tumhaare haatho me,
aur har tumhaare haatho me (2)