Taara Hai Saaraa Zamaanaa Prabhu Hum Ko Bhi Taaro

Taara hai saaraa zamaanaa prabhu hum ko bhi taaro

Humne sunaa hai ke Meera ko taaraa
Meera ko taara prabhu hume kyon bisaaraa
Raanaa kaa leke bahaanaa prabhu hum ko bhi taaro

Hum ne sunaa hai ke Gwalo ko taara
Gwalo ko taraa prabhu hume kyon bisaaraa
Gouwo kaa leke bahaana prabhu hum ko bhi taaro

Humne sunaa hai ke Gopiyo ko taaraa
Gopiyo ko taaraa prabhu hume kyon bisaaraa
Murli kaa leke bahaanaa prabhu hum ko bhi taaro

Humne sunaa hai ke Sudama ko taaraa
Sudama ko taaraa prabhu hume kyon bisaaraa
Dosti kaa leke bahaanaa prabhu hum ko bhi taaro

Hum ne sunaa hai ke Arjun ko taara
Arjun ko taraa prabhu hume kyon bisaaraa
Geeta kaa leke bahaana prabhu hum ko bhi taaro