Shirdi Wale Sai Baba

Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai
Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai
Tareef teri nikli hai dil se
Aayi hai lab pe ban ke qawaali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

O mere sai deva, tere sab naam lewa
Khuda insaan saare, sabhi tujhko hain pyaare
Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki
Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta
Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara
Teri rehmat ka kissa bayan akbar kare kya
Do din ki duniya, duniya hai gulshan
Sab phool kaante, too sab ka maali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Khuda ki shaan tujhme, Dikhe bhagwaan tujhme
Tujhe sab maante hain, Tera ghar jaante hain
Chale aate hain daude, Jo khush kismat hain thode
Yeh har raji ki manzil, Yeh har kashti ka sahil
Jise sab ne nishala, Use toone sambhala

Too bichhdon ki milaye, Bujhe deepak jalaye
Yeh gam ki raatain, raatain yeh kaali
Inko banade eid aur diwali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali

Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali
x4