Man Mohana

Man Mohana
Man mohana, man mohana
Kanha suno na, tum bin paaon kaise chain
Tarsoo tumhi ko din rain
Chodke apne kashi mathura
Aake baso more nain
Tum bin paaon kaise chain
Tarsoo tumhi ko din rain

Ik pal ujiyaara aaye, ik pal andhiyara chaye
Man kyu na ghabraye, kaise na ghabraye
Man jo koi doraha apni raho mein paaye
Koun disha jaaye? Tum bin koun samjhaye
Raas rachaiyya vrindavan ke gokul ke vaasi
Radha tumhri daasi
Darshan ko hai pyaasi

Shyam salone nandlala Krishna banva ri
Tumhri chab hai nyaari
Main to hoon tan man haari
Man mohana man mohana
Kanha suno na tum bin paaon kaise chain
Tarsoo tumhi ko din rain

Jeevan ik nadiyaa hain, lehro lehro behti jaaye
Is mein man ki naiyya doobey kabhi utar jaaye
Tum na khevaiyya ho to koi tat kaise paaye
Majhdhaar behlaaye, toh tumri sharan aaye
Main hoon tumhari, hain tumhara mera yeh jeevan
Tumko hi dekhoon main, dekhoon koi darpan
Bansi ban jaaongi, in hoton ki ho jaaongi
In sapno ke chalkar hain mera man aangan