Man Ke Duare

Man ke dware khol ke de do apne moh ka daan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Khali haath hi aaye hein aur khali haath hi jaana hai
Ek hari ka naam pukaro gar mukti ko paana hai
Chhod do paapi jeevan aur chhodo sara abhiman re
kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Pooje mandir aur shiwale hue magar hein sab bekaar
Man hai maya jaal mein pooja hogi kaise aakhirkar
Tan ke sukh ki khatir insan ban gaya shaitan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re

Sundar pawan naam hari ka jisne kanth lagaya
Hari pushp se saja saja ke sundar haar banaya
Bhool na jana man mandir mein giridhar ka gungaan re
Kal ki maya kaun jaane kab nikle ye pran re