Kabhi Kabhi Bhagavan Ko Bhi

Kabhi Kabhi Bhagwan Ko bhi Bhakto se kaam pade
Jana tha Ganga par prabhu Kevat ki naav chade
(2)

Avadh chod prabhu van ko ayee
Siya Ram Lakhan Ganga Tat ayee
Kevat man hi man harshaye
ghar baithe parbhu darshan payee,

Haath jod kar prabhu ke aage kevat magan khade,

Prabhu bole tum naav chalao
par hame kevat pahuchao
Kevat kehata suno hamari Charan dhul ki maya bhari
Main garib naya meri mahi na hoi pade,

Kevat daud ke jal bhar laya
Charan dhoye charanamrit paya
ved granth jis ke yaash gaye kevat unko naav chadaye
barse phool gagan se aise bhakt ke bhaag bade

Chali naav Ganga ki Dharaa
Siya Ram Lakhan ko paar utara
Prabhu dene lage naav utrai kevat kahe nahi Raghurai

Paar kiya maine Tumko
Ab Tu mohe paar kare