Hari Ka Bhajan Karun

Hari ka bhajan karun hari ko naman karun
Hari ko pukaarun subah shaam

Hari ke bhajan bin jeevan soona
Kaise man samjhaun
Chhod ke jug ke bandhan main toh
Dwaar hari ke jaun
Hari ke charan padun hari ko naman karun
Hari ko pukaarun...

Murli manohar kripa sarovar
Jag ke paalan haari
Bhakti daan do girdhar naagar
Sharan pade jo tihari
Vinti hari se karun hari ko naman karun
Hari ko pukaarun...