Haman Hai Ishq Mastana

Haman hai ishq mastana,
Haman ko hoshiyari kya
Rahe azad ya jag mein,
Haman duniya se yaari kya

Jo bichude hain piyare se,
Bhatakte dar badar phirte,
Hamara yaar hai humme,
Haman ko intazaari kya

Na pal bichude piya hum se,
Na hum bichude piyare se
Unhi se neh laga hai,
Haman ko bekarari kya

Kabira ishq ka mata,
Dui ko dur kar dil se.
Jo chalna rah nazuk hai,
Haman sar bojh bhari kya