Bajarangi Tume Manavu

Bajarangi tume manavu, sindoor laga laga ke,
tera darshan me to pavuu, tali baja baja ke

Shree ram ne tuje manaya, Lakshman ne tuje manaya,
ke sita ne,
ke sita ne tuje manaya, lanka puri me jake,
Bajarangi tume manavu, sindoor laga laga ke

Brahma ne tuje manaya, vishnu ne tuje manaya,
ke shankar ne,
ke shankar ne tuje manaya, damru baja baja ke,
Bajarangi tume manavu, sindoor laga laga ke

Devo ne tuje manaya, rushiyone tuje manaya,
ke narad ne,
ke narad ne tuje manaya, vina baja baja ke,
Bajarangi tume manavu, sindoor laga laga ke

Santo ne tujhe manaya, bhakto ne tujhe manaya,
Ke bapu ne,
Bapu ne tuje manaya, teri katha suna suna ke,
Bajarangi tume manavu, sindoor laga laga ke