Aisee Kripa Karo Bhagawan

Aisee kripaa karo bhagavaan, hardam rahe tumhaaraa shyaan
Aisaa dedo dridh vishvaas, hardam samjhe aapko paas
Kare tumhaaraa hi gungaan, Aisee kripaa karo bhagavaan

Sukh me tujhko bhool na jaaye, dukh aane par naa ghabraaye
Sukh aur dukh me rahe samaan, Aisee kripaa karo bhagavaan

Kare jagat ke saare dhandhe, par-upkaaree, sabke ban jaaye hit kaaree
Sab jag kaa chaahe kalyaan, Aisee kripaa karo bhagavaan

Har ek se ham kare bhalaa-ee, kisee ke saath na kare buraa-ee
Namra bane tajkar abhimaan, Aisee kripaa karo bhagavaan

He jagad-eeshvar antaryaami, ham sab milkar tumse swaamee
Maang rahe hai ye vardaan, Aisee kripaa karo bhagavaan